RESPECT PAKISTAN
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Long Live Pakistan


You are not connected. Please login or register

Mid term elections

4 posters

Go down  Message [Page 1 of 1]

1Mid term elections  Empty Mid term elections Fri Aug 27, 2010 7:02 pm

SUFI ROCKER

SUFI ROCKER
Admin
Admin

Pakistan Peoples party PPP ... k total 114 members the shaid us se bhi ziyada ... Lakin haal hi mein MQM ke kuch members jo ke PPP k saath the woh side pe hogaye hian kion k unhien pata buhat jald PPP ka zawal shoro hone wala hai . Or MQM k sadar Altaf Hussain ne baayaan dia hia k saray politician corrupt hain aab army ko hand over karlena jahie sab or Martial law laga dena jahie ?

Aaab Ya tum Army pakistan per Hakomat karegi or Jhamoriyat ajyegi or amriyaat khatam ..
Ya phir mid term elections honagay jis ke ziyada chances hongay

Lakin aab baat yeh hai k .. k agar midterm elections hoay tu president banega ka kaun .. Imraan Khan ??

Imraan khan pichlay do election se larh raha hai .. har baar jis se pocho woh yehi keht ahia k mein ne imraan khan ko vote dia hia lakin agar itne vote usay gay ehian tu woh bana kion nahi ??

Hamesha woh sirf apni seat hi jita hai or baad mein withdraw kardeta hai baqool uske k woh is seat pe reh ke pakistan ke liye kuch nahi karsakta .. jo baat thik hia ..

Aaab is baar kia hoga ... Ghareeeb awaaam tu Wahan vote degi jaan unhien rooty makkan or kapray milien ge ... baad ki nahi sochien ge
education ka masla ajaata hai ... yahan pe ..

Aaab PPP tu nahi aati ...

views jahie sabke k Imraan khan ko kasay support kia jaye ?? or kia hona jahie Pakistan ki wealth k liye ?

https://respectpakistan.darkbb.com

2Mid term elections  Empty Re: Mid term elections Fri Aug 27, 2010 7:05 pm

SUFI ROCKER

SUFI ROCKER
Admin
Admin

Jhamoriyat (army) Ya Amriyaaat ???

https://respectpakistan.darkbb.com

3Mid term elections  Empty Re: Mid term elections Fri Aug 27, 2010 7:21 pm

sweet poison

sweet poison
V.I.P
V.I.P

jamhoriyat ho...

hmm.... me bri ho k politician bnoun gi.. tb vote mujhay dena plz...

ab IMRAN KHAN ko dey do... Razz

4Mid term elections  Empty Re: Mid term elections Sat Aug 28, 2010 4:57 pm

copy.cat

copy.cat
Moderators
Moderators

yar i hope kay loge jis ko din soch sumjh kay din may JAMMAT YANI M.M.A KO DON GI Very Happy

5Mid term elections  Empty Re: Mid term elections Sun Aug 29, 2010 10:13 pm

Silver Rain

Silver Rain
Admin
Admin

Aisis jamhoriat sey Amriat behter hai...

hamaray logo ko lagta hai kay vote sey sirf banday hi elect hotay hain... vote sey education , development is silsalay mein koi kaam nahi hota... :S

VOte sahi banday ko milay ga to koi sahi kaam hoga..
yeh jitnay bhi imran khan ko support kartya hain un mein zyada tar youth hai....lekin jab elections aatay hain...to in mein sey koi vote dalnay nahi jaata...

even if i ask my grandfather to vote for imran khan he won't...coz his social circle doesn't allow him to do so..

Ham to yahan Marshall LAw kay bayan par kaafi khush hain..atleast itni corruption to nahi hogi....thoray bahut achay kaam ho jaye....!

Imran khan ko support GEO walay kar rahay hain aur yeh saaf nazar araha hai...and its good....atleast logo mein awarness paida hoggi...and geo is a famous channel.....
us kay ilawa its time for us all to vote for him....us kay liye gharon sey bahir nikla jaye....

meray ya ham sab kay forums par beth kar discussion sey ya facebook par groups bananay say kay hamay Imran khan ko prime minister banana hai..kuch nahi honay wala....

6Mid term elections  Empty Re: Mid term elections Sun Aug 29, 2010 10:30 pm

SUFI ROCKER

SUFI ROCKER
Admin
Admin

Baat tumhari bilkul thik hai .. mein ne pehlay hi kaha hai k ghareeb awaam hai jahan unhien apna zaati mufaaad ka lalaj dia .. Woh wahin vote dalegi ..

Marshael Laww k chances kam hain or Mid term elections k ziyada ... anyway hamien army k ajanay se nuqsaan bhi hoga lakin faida bhi hoga ..

Nuqsan yeh k dosre countries se hamare relationszz Kharab hosakta hain .. trade ruk sakti hia kion k koi bahir ka pasay invest nahi kare ga unhien pata hai Army hai kabhi bhi kuch bhi karsakti hia agar dimagh kharab hogya unka ..

lakin Histroy mein dheka jaye tu Pakistan ko sab se ziyada faida .. Army k huqmarani mein hoa hai ..

Bahar haal jo bhi hoo Allah se dua hia k Pakistan k liye aab kuch achaww hooo .. atleast un logon k khatir .. junhooon ne apni pori zindagi pakistan ke achai mein waqaf kardi . like Dr qadir khan and many more .. !!

https://respectpakistan.darkbb.com

7Mid term elections  Empty Re: Mid term elections Thu Sep 02, 2010 7:37 pm

Silver Rain

Silver Rain
Admin
Admin

Mid term election hakumat kay iraay nahi lag rahay karwanay kay...agar Army aati hai to atleast corruption aur in jaisi tamam cheezon sey jaan chut sakti hai....magar Pak ki market trade sab par effect paray ga i agree with you...
aur army aayi to phir constituition totay ga..phir wohi naray lagay gay...aur PPP aur dosri parties kahay gay kay hamay to moka hi nahi dia gaya kuch karnay ka....roz roz ki strikes....sab fazooliat...

ab bus aik bar aaye aur INQLAAB aye.... REVOLUTION!
takay pura system hi change ho jaye.....aur sab ko insaaf milay....
ya phir yeh log khud hi hath jaye aur imandar logo ko moka dia jaye....jo sirf tab ho sakta hai jab hamaray mulk mein ignorance nahi awarness ho....

Jis kay liye abhi kafi time lagay ga Sad

So agree with your solution DUa karo.....aur individualy hi acha kartey raho....shayad kay kuch fark par jaye!

8Mid term elections  Empty Re: Mid term elections Fri Sep 03, 2010 12:11 am

SUFI ROCKER

SUFI ROCKER
Admin
Admin

Don't worry Army hi aayegi pakistan mein Wink

https://respectpakistan.darkbb.com

9Mid term elections  Empty Re: Mid term elections Tue Sep 07, 2010 9:33 pm

Silver Rain

Silver Rain
Admin
Admin

yaani Genral kiyani Sherwani pehan kar PTV par kaum sey khitab karay gay...

Aramy sey bhi dar lagta hay..jatay jatay gand kar jatay hain... aur atay huay bhi constituition tor detey hain .... history will repeat itself one day! king

Sponsored content



Back to top  Message [Page 1 of 1]

Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum